Welcome Entertainment Lover’s

Taare Zameen Par (Title) Lyrics | Taare Zameen Par

                        
                        Dekho inhein yeh hai onss ki boodein
Patto ki goodh mein aasamaan se khude

Angdai le phir karwat badal kar
Nazuk se moti hasde phishal kar
Kho na jayee yeh
Taare zameen par

Yeh toh hai sardi mein
Dhoop ki kirane
Uthre jo aangan ko sunehara sa karne
Maan ke andhero ko roshan sa karde
Thiturti hatheli ki rangat badal de
Kho na jayee yeh
Taare zameen par

Jaise aankhon ki debiyan mein neediyan
Aur neediyan mein meetha sa sapna
Aur sapne mein mil jaye faristha sa koi
Jaise rango bhari peechkari
Jaise thitliyan phoolo ki pyari
Jaise bina matlab ka pyaara rista ho koi

Yeh to asha ki lehra hai
Yeh to umeed ki seher hai
Khushiyon ki nehar hai
Kho na jaye yeh
Taare zameen par

Dekho raaton ke sene pe yeh to
Jhil mil kisi lao se uge hain
Yeh to andiyan ke khushbo hai bhago se beh chale
Jaise kaanch mein chudi ke tukde
Jaise khile khile phoolon ke mukhde
Jaise bansi koi bajaye pedo ke taale

Yeh to jhoke hai pawan ke
Hai yeh gungroo jeevan ke
Yeh to sur hai chaman ke
Kho na jayeee
Taare zameen par

Mohale ki ronak galiyan hai jaise
Khilne ki zid per kaliyan hai jaise
Muthi mein masam ki jaise hawaein
Yeh hai buzurgo ke dil ki duyaaein
Kho na jayeee
Taare zameen par
Taare zameen par

Kabhi baatein jaise dadi naani

Kabhi chale jaise num num pani
Kabhi ban jaye bhole saawalo ki jhadi
Sanate mein hasi ke jaise
Sune hoton pe khushi ke jaise
Yeh to noor hai barse gar pe kismat ho padi
Jaise jhil mein lehar aye chanda
Jaise bheed mein apne ka kandha
Jaise manmauji nadiya
Jhaag udaye kuch kahe
Jaise baithe baithe meethi si jhapki
Jaise pyar ki dheemi si thapki
Jaise kaanon mein sargam
Hardam bajti hi rahe
Jaise barkha udati hai bundiya…
Kho na jaaayeeee yehhhh
Kho na jaayee yehh
Kho na jaayee yehh
Kho na jaayee yehhhh..