jo baat tujh mein hai teree tasvir mein nahi
tasvir mein nahi jo baat tujh mein hai
rango mein tera aks dhala, tu na dhal sakee
saanso ki aanch jism ki khushabu na dhal saki
tujh mein jo loch hai, meri taharir mein nahi
meri taharir mein nahi
jo baat tujh mein hai, teri tasvir mein nahi
bejaan husn me kaha, raftar ki ada
inkaar kee ada hai, na ikarar kee ada
koyee lachak bhee julf-e-giraahgir mein nahi
julf-e-giraahgir mein nahi
jo baat tujh mein hai, teree tasvir mein nahi
duneeya me koyee chij nahee hai teree tarah
phir ek baar saamane aaja kisee tarah
kya aur ek jhalak meree takdir me nahi
takdir me nahi
jo baat tujh mein hai, teree tasvir me nahee.