Paanv Chhu Lene Do Phulon Ko Inaayat Hogi Lyrics | Taj Mahal

                        
                        paanv chhu lene do phulo ko inaayat hogi, inaayat hogi
varna hamko nahi, inko bhi shikayat hogi, shikayat hogi

aap jo phul bichhaaye unhe ham thukraaye
aap jo phul bichhaaye unhe ham thukraaye
hamko dar hai
hamko dar hai ke ye tauhin-e-muhabbat hogi, muhabbat hogi

dil ki bechain umango pe karam farmaao
dil ki bechain umango pe karam farmaao
itna ruk ruk
itna ruk ruk ke chaloge to qayaamat hogi, qayaamat hogi
paanv chhu lene do phulo ko inaayat hogi, inaayat hogi

sharm roke hai idhar, shauk udhar khiche hai
sharm roke hai idhar, shauk udhar khiche hai
kya khabar thi
kya khabar thi tabhi is dil ki ye halat hogi, ye halat hogi

sharm gairo se hua karti hai apno se nahi
sharm gairo se hua karti hai apno se nahi
sharm ham se
sharm ham se bhi karoge to musibat hogi, musibat hogi
paanv chhu lene do phulo ko inaayat hogi, inaayat hogi
hamko dar hai ke ye tauhin-e-muhabbat hogi, muhabbat hogi.