dil hai luta hua jahan
raat bhi hai dhua dhua
aye meri maut ye bata
aise me rah gayi kahan
dil hai luta hua jahan
ab na kisi ko mujhse pyar
ab na kisi ka intzaar
ab na kisi ko mujhse pyar
ab na kisi ka intzaar
dil ki khiza chali gayi
meri khushi ki wo bahar
khak uda ke chal diya
aa, khak uda ke chal diya
meri khushi ka karwa
dil hai luta hua jahan
raat bhi hai dhua dhua
aye meri maut ye bata
aise me rah gayi kahan
dil hai luta hua jahan
aye dil-e-bekarar sun
bhul ja ab khushi ki dhun
aye dil-e-bekarar sun
bhul ja ab khushi ki dhun
phulo se tera kaam kya
kaanto ko chun sake to chun
ab na kisi ki aas kar
aa, ab na kisi ki aas kar
aayega kaun ab yaha
dil hai luta hua jahan
raat bhi hai dhua dhua
aye meri maut ye bata
aise me rah gayi kahan
dil hai luta hua jahan