jinke karan galiyo galiyo bhatke thak kar chur hue
bhich dagar me chhod ke dekho wo bhi hamse dur hue
kar bhala hoga bhala ant bhale ka bhala
kar bhala hoga bhala ant bhale ka bhala
aaj sab kuchh hai tera kal ka hai kisko pata
aaj sab kuchh hai tera kal ka hai kisko pata
kar bhala hoga bhala ant bhale ka bhala
jaisa koi beej hai bota waisi chadhti bela yaha
kaisa raja kaun bhikhari sab karmo ka khel yaha
sath kisi ke mela koi bhatke akela
kar bhala hoga bhala ant bhale ka bhala
aaj sab kuchh hai tera kal ka hai kisko pata
kar bhala hoga bhala ant bhale ka bhala
jiwan kam hai dur hai manjil sapno me na dol jara
nind me biti jaye umariya aankh musafir khol jara
dekh tere jiwan ka ek din aur dhala
kar bhala hoga bhala ant bhale ka bhala
ghar baste hai roz jaha me baske ujadne ke liye
milta hai har ek yaha par milke bichhadne ke liye
chalti dagar hai dunia ek aaya ek chala
kar bhala hoga bhala ant bhale ka bhala
kal jo karega aaj bharega ye nagri wyapaar ki hai
murakh ab kyu neer bahaye reet yahi sansar ki hai
deep jo bujhaya kisi ka tera bhi bujhega diya
kar bhala hoga bhala ant bhale ka bhala
kar bhala hoga bhala ant bhale ka bhala