seene me sulagte hain armaan
aankho me udaasi chhaayi hai
ye aaj teri duniya se hame
taqdeer kahaan le aayi hai
seene me sulagte hain armaan
kuchh aankh me aansoo baaki hain
jo mere gham ke saathi hain
jo mere gham ke saathi hain
ab dil hai naa dil ke armaan hain
ab dil hai naa dil ke armaan hain
bas main hu meri tanhaayi hai
seene me sulagte hain armaan
na tujhse gila koyi hamko
na koyi shikaayat duniya se
do chaar kadam jab manzil thi
do chaar kadam jab manzil thi
qismat ne thokar khaayi hai
seene me sulagte hain armaan
ek aisi aag lagi man me
jeene bhi naa de marne bhi naa de
chup hu to kaleja jalta hai
chup hu to kaleja jalta hai
bolu to teri ruswaayi hai
seene me sulagte hain armaan