Grahan Lyrics | Te3n

                        
                        khushi ke jalte suraj ko, sukun ke ujle gumbaj ko
buri nazro ka nigal gaya grahan
asar tha uski sazish me, jo saiyyaron ki gardish me
zahar ki tarah thehar gaya grahan
khushi ke jalte suraj ko, sukun ke ujle gumbaj ko
buri nazro ka nigal gaya grahan
wo aafat hi kuchh aisi thi, ke fitrat deemak jaisi thi
jo til-til karke utar gaya grahan
nazro ke aage dhundh hai, sab darwaaze band hai
jhutha lage har dilasa 
haanf rahi awaaz hai, parde ke piche raaz hai
hota nahi kyun khulasa

muskurahat sehmi hai, gham ki gehma ghemi hai
duaye saari nikli ke bewafa
raat katti karwat me, aansu chhupa ke silwat me
subah ki kirne bhi lagti hai khafa
qayamat bhar ke daaman me, kisi ke ghar ke angan me
kehar ki tarah utar gaya grahan
nazro ke aage dhundh hai, sab darwaaze band hai
jhutha lage har dilasa
haanf rahi awaaz hai, parde ke piche raaz hai
hota nahi kyun khulasa