Aye pardanasheen yeh ishk kahin
Pardo mein chhupaaya jaata hai
Naadan kahin inn sholo ko sine
Mein dabaaya jaata hai aa aa aa
Pardo mein abhee hone de jawaan,
Andaaj yeh tirandaajee ke
Andaaj yeh sab rah jaate hain,
Jab teer chalaaya jaata hai
Aye pardanasheen
Maana ke jabaan khaamosh rahe,
Aankho pe magar kaabu kiska
Maana ke jabaan khaamosh rahe,
Aankho pe magar kaabu kiska
Afasaanaae dil hontho se nahi,
Aankho se sunaaya jaata hai
Aye pardanasheen
Iss aag kaa bujhana mushkil hai,
Iss raaj kaa chhupana mushkil hai
Hote hain jahan bhar mein charche,
Jitana yeh chhupaaya jaata hai
Aye pardanasheen.