nagma koi gunguna ne ka mausam aaya hai
palko pe khwab sajane ka mausam aaya hai
apne aap se hume ab na dur kijiye
shikwe sabhi bhool jaane ka mausam aaya hai
nagma koi gunguna ne ka mausam aaya hai
yu mila yu hi mila koi sira halat ka
tere mere saath ka ik ankahi baat ka
dekh le tu dekh le mud ke zara ik baar ko
teri haseen janasheen tarse tere pyar ko
ab nahi koi gum ab na aankhe ho num
ab toh zara muskuraane ka mausam aaya hai
nagma koi gunguna ne ka mausam aaya hai
khwab ke darr pe hume simte hue lamhe mile
khushbu teri odd ke soye hue raste
chal padhe yu chal padhe jaise ruki ik dastan
karwat badalke chale choone koi aasman
ab yaha se kaha jayega karvan
mudke vahi laut jane ka mausam aaya hai
nagma koi gunguna ne ka mausam aaya hai.