Aazadi Aayi Bhi To Kya Lyrics | The Gold Medal

                        
                        Aazadi aayi bhi to kya
Kayam hai gulami ki rashme
Janta ka jeevan aaj bhi hai
Sharmaya daro ke bas mein
Sharmaya daro ke bas mein

Aazadi aayi bhi to kya
Kayam hai gulami ki rashme
Janta ka jeevan aaj bhi hai
Sharmaya daro ke bas mein
Sharmaya daro ke bas mein

Jo garib the aur garib hue
Jo amir the aur amir bane
Kala dhan band tijauri
Phir desh ki kya takdir bane
Shaho ki nahi neta ki nahi
Daulat ki hukumat aaj bhi hai
Insano ko jeene ke liye
Paiso ki zaroorat aaj bhi hai
Wo log jo kapde bunte hai
Wohi log yaha adhnange hai
Ye kaisi sone ki chidiya
Pag pag pe jaha bhikhmange hai
Pag pag pe jaha bhikhmange hai
Aazadi aayi bhi to kya
Kayam hai gulami ki rashme
Janta ka jeevan aaj bhi hai
Sharmaya daro ke bas men
Sharmaya daro ke bas mein

Kheti pesa ye desh magar
Aata hai anaj videsho se
Har gaw shahar mein aaj pahucha
Bekari ke andesho se
Godam me kaid kiye baitha
Koi kheto ki jawani ko

Jaha dudh ki nadiya bahti thi
Waha log taraaste pani ko
Apna vyopar badhane ko
Mandir maszid ko ladwate hai
Insan nahi saiatan hai ye
Anjano ko bahkate hai
Anjano ko bahkate hai

Apne man subo ke liye
Ladte hai ladai subo ki
Talwar banakar bhasha ko
Bharat ko kata karte hai
Nirdhan na bagawat kar baithe
Isiliye to hi ye dhanwale
Kismat ki duhai dete hai
Takdir ki charcha karte hai
Takdir ki charcha karte hai
Khate hai desh ki roti aur
Gate hai geet videsho ke
Inhe lal kahe ya dalal kaye
Ye ma ko becha karte hai
Ye ma ko becha karte hai
Aazadi aayi bhi to kya
Kayam hai gulami ki rashme
Janta ka jeevan aaj bhi hai

Sharmaya daro ke bas mein
Sharmaya daro ke bas mein.