aaj bichhade hain, aaj bichhade hain
kal ka dar bhi nahi
jindagi itni mukhtasar bhi nahi
aaj bichhade hain
aaj bichhade hain, aaj bichade hain
kal ka dar bhi nahi
jindagi itni mukhtasar bhi nahi
aaj bichhade hain
jakhm dikhte nahi abhi lekin
thande honge to dard niklega
aesh utrega wakt ka jab bhi
chehra andar se jard nikalega
aaj bichade hain, aaj bichade hain
kal ka dar bhi nahi
jindagi itni mukhtasar bhi nahi
aaj bichade hain
kahne waalo ka kuch nahi jaata
sahne waale kamaal karte hain
kaun dhundhe jawaab dardon ke
log to bas sawaal karte hain
aaj bichade hain, aaj bichade hain
kal ka dar bhi nahin
jindagi itni mukhtasar bhi nahi
aaj bichade hain
kal jo aayega jaane kya hoga
kal jo aayega jaane kya hoga
beet jaaye jo kal nahin aate
waqt ki shaakh todne waalo
tooti shaakhon pe fal nahi aate
aaj bichade hain, aaj bichade hain
kal ka dar bhi nahin
jindagi itni mukhtasar bhi nahin
aaj bichade hain
kachchi mitti hain, dil bhi insaan bhi
dekhne hi mein sakht lagata hain
aansoo poche to aasuon ke nishaan
khushk hone mein wakt lagata hain
aaj bichade hain, aaj bichade hain
kal ka dar bhi nahin
jindagi itni mukhtasar bhi nahin
aaj bichade hain, aaj bichade hain
aaj bichade hain