jala kar aag dil me, zindagi barbad karte hai
na hanste hai, na rote hai, na kuch fariyad karte hai
jala kar aag
ummede hasrato armaan, sab dafna liye dil me
liye barbadiyo ab, ranj-o-ghum aabad karte hai
na hanste hai, na rote hai, na kuch fariyad karte hai
jala kar aag
rahe majburiya apni, rahe bardaiya apni
hum apne aashiya ko, aap hi barbad karte hai
na hanste hai, na rote hai, na kuch fariyad karte hai
jala kar aag
nahi apni koi manjil, kaha jaye, kidhar jaye
sahara maut ka hai, maut ko ab yaad karte hai
na hanste hai, na rote hai, na kuch fariyad karte hai
jala kar aag