suna tha maine bachpan me, unnish sau pachpan me
suna tha maine bachpan me, unnish sau pachpan me
allah meharbaan to gadha pahalwaan
allah meharbaan to gadha pahalwaan
are aaj samjh aai jakar baat kahi ye jivan me
suna tha maine bachpan me, unnish sau pachpan me
motar me yu saath saathi chale
chunti ke sang jaise hathi chale
leke mujhe meri sasural me
kis sand ye bhi chale
aage chala thanedar, pichhe sare jammdar
bich me banke dogla baitha, main albela daku
ro surat bhi hansti hain, pyare ek din darpan me
suna tha maine bachpan me, unnish sau pachpan me
data kadak tha naram ho gaya
banda tha thanda garam ho gaya
zaalim se badla, har ek julm ka
ab to ye mera dharam ho gaya
marunga main ginke yaar, dushman pure ke hazar
chor lutero ke adde ki, todunga main har diwar
maalik chahe to bin mausam, phul khila de gulshan me
suna tha maine bachpan me, unnish sau pachpan me
pahle tha kismat ka khana kharab
ab hun mukaddar ka lekin nabaav
pahle koi puchhta bhi na tha
ab sab khilayenge haluaa kabav
pahle to padti thi maar, ab phulo ke padenge har
pahle duniya thukrati thi, ab bolegi jai jaikar
ghar hoga gharwali hogi, bachche honge aangan me
suna tha maine bachpan me, unnish sau pachpan me
suna tha maine bachpan me, unnish sau pachpan me
suna tha maine bachpan me, unnish sau pachpan me.