Meri chhoti si behan
Dekho gehne pehan
Sasural chali re
Ban than ke
Haathon mein gajra
Ankhiyo mein kajra
Zara nakhre to
Dekho dulhan ke
Mera bhaiya
Hai deewana
Mera bhaiya
Hai deewana
Is ki baaton mein
Na aana
Jhoothi batiyaan
Banaaye ban ban ke
Pagle hain man ke
Ye ghadi ghadi sanke
In ke purze hain
Pagle hain man ke
Ye ghadi ghadi sanke
In ke purze hain
Dheele bachpan se
Sasuraal gayi to didi
Hum ko bhi tum bhool jaaogi
Wahan jeeja ki mithaai
Kha kha kuppe se pehan
Phool jaaogi
Moti moti bahu ban phir
Bade bade rob dikhaaogi
Tera bhaiya bhi jo aaye to
Use bhi wahan baahar bithaoge
Darwaze pe hi us ko bithaogi
Na khilaogi jo khana
Na khilaogi jo khana
To main pet bharunga
Chori chori tori
Baaten sun sun ke
Meri chhoti si behan
Dekho gehne pehan
Sasural chali re
Ban than ke
Bholi dekh ke mujhe
Boli bolte kyun akad akad ke
Bach paaoge nahi re
Bachu hum se yoon
Jhagad jhagad ke
Hum jaante tumhe
Tum gol gol dhol
Ho rabad ke
Zara aane de bhabhi ko
Seedha karegi wo
Kaan pakad ke
Tere choohe jaise
Kaan pakad ke
Paaon pakdoge tum
Paaon pakdoge tum
Naak ragdoge tum
Gidgidaoge aage
Ki seham ke
Meri chhoti si behan
Dekho gehne pehan
Sasural chali re
Ban than ke
Mera bhaiya
Hai deewana
Is ki baaton mein
Na aana
Jhoothi batiyaan
Banaaye ban ban ke
Haathon mein gajra
Ankhiyo mein kajra
Zara nakhre to
Dekho dulhan ke
Pagle hain man ke
Ye ghadi ghadi sanke
In ke purze hain
Dheele bachpan se.