Welcome Entertainment Lover’s

Rubdoot Lyrics | Toonpur Ka Super Hero

                        
                        Hari rail laal rail se hai mazboot
Hari rail laal rail se aa rubdoot
Hari rail laal rail se hai mazboot
Hari rail laal rail se aa rubdoot

Kis cartoon ne mujhe jagaya
Kis joker ka waqt hai aaya
Sasur mera yamdoot
Naam mera rubdoot
Lakeeron se bane faqeero!
Kiya paat agar lakeeron ko
Ragarr ke rakh doonga main
Tum chalti phirti tasveeron ko

Yaqeen hai ya sapna
Chamatkaar ya chakma
Main aankhain badal ke aaon
Ya pehen ke aaon chashma
Aray yeh to mera super hero
Sab se tagra, sab se dhaansu
Khushi ke maare rona hai mujhe
Kahaan hain mere khushi ke aansu

Mera tan karne lagi pasliyaan
Dekh ke apna super star
Battees daant lage naachne
Hone lag gaya chaand nayaa


 
Mera hero aagay, mujh ko milne aagay
Mere dil pe cha gaya, woh woh woh woh
Parda phaar ke aaya hai
Tv torr ke nikla hai
Ya kisi coster se chori chori phisla hai
Jese marzi aaya hai
Aagaya bas aagaya
Mere dil pe chaa gaya woh woh woh woh

Yeh nazar battu hai
Bollywood mein lattu
Japta hai mera naam,
Lagta hai bagla ji ne kaha

Tum mere sacche sacche fan ho rubdoot
Is baat ka tumhaare paas kya hai saboot
Hmmm saboot

Saboot hi saboot hai, kya bataeyn ji ham
Bataeyn door se hi tum ko dil de chuke sanam
Jab kya romance ya villon se haatha paai
Sab se zyada seetiyaan main ne bajaai
Har saal main ne tera birthday manaaya
Har film ke hit hote hi yeh geet gaaya

Mera hero chaa gaya,
Sab ke dil pe chaa gaya
Mera hero aagaya,
Woh woh woh woh

Je khuli ke main, tum ho mere super fan
Super fan ka mila award
O my god, o my god
Ab khila to makkhan
Phir dhoondte hain mil ke dhakkan
Meri choro,
Ab tum bollywood ki koi baat sunao
Acche actor lagte ho,
Kuch acting wacting kar ke dikhao
Ayyy pehle yeh batao
Tumhaare naam mein kitne k hain
Kkkkiran…hmmm
Main ne kaha ji suniye

Zara autograph to dijiye… isssh
Yaar tum to bollywood ke bhi baap ho
Jitne marzi chaaho utne autograph lo
Autograph le jaeyga yeh phopat
Saare ka saara plan hojaey ga chopat
Autograph to chaahe le lo aik hazaar
Gar main bhi kuch maangun
To kya de pao ge yaar
Jaan maango, jaan haazir
Dhaan maango, dhaan haazir
Toonpur mein jitna bhi hai

Woh saara saamaan haazir
Maangta hoon aik choti si cheez
Toon astra de do na please
Toon astra…
Maang rahe ho toon-astar
Hil gaya hai tumhaare dimaagh ka pilastar
Toon astra
Aray choro yeh notanki
Baat karo koi dhang ki
Toon-astar pakrao
Best friend ban jaao

Best friend ka offer de kar
Tum ne barhaya mera maan
Tumhaari is offer ke
Ooper sau sau toon-astar qurbaan
Toon-astar to tum ne le liya,
Per aik baat yaad rakhna
Tum isey sirf aik baar istemaal kar sakte ho
Kyaa…itne saary toonasur aur sirf aik baar
China ka maal hai kya
Actually woh kya hai ke
Is ko charge karna parta hai
Aur is ka charger main khud hoon

Oh…chalo…
Ab mera autograph
De doonga rubdoot ji
Pehle aap ki is rubber waali
Pencil ka trial to hojaey
Aditiya, main jaa raha hun
Upar waaly, main aaraha hun.