Mere Himalay Ke Pasbano Mere Gulistaa Ke Bhagbano Lyrics | Tu Hi Meri Zindagi

Lyricist :
Music Director : Rono Mukerji , Rono Mukerji
Singer : Mohammed Rafi
                        
                        mere himalya ke pasbano mere gulishta ke bagbano
utho ke sadio ki nind taj kar
tumhe watan fir pukarta hai
hawao ke dil dahal rahe hai
gulab nehru ke jal rahe hai
hawao ke dil dahal rahe hai
gulab nehru ke jal rahe hai
jami to kya hai jami to kya hai
falak ke aasu nikal rahe hai
kasam tumhe maa ke dudh ki hai
kasam sahido ke khun ki hai
jami se uska nisha mita do jo bag apna ujadta hai
mere himalay ke pasbano mere gulishta ke bagbano

ye maut se bolne ka din hai
badho hatheli pe sar ko rakh ke
ye bediya kholne ka din hai
ye bediya kholne ka din hai
pahad bane dushmano pe tuto
tumhare gango jamun ki izzat ki ek daku utarta hai
mere himalay ke pasbano mere gulishta ke bagbano

na fir jami khun me nahaye
na jurm dunia ki dikhaye
garib mandir ke aaye maszid
na fir koi ghar ko bant paye
na fir koi ghar ko bant paye
kadi gulami ki kat do ye jamin phul se baat do ye
ke maa ke aachal ka ek dabba
watan ki surat bigadta hai
mere himalay ke pasbano mere gulishta ke bagbano

hum apne khun me naha chuke hai
safina apna duba chuke hai
hum apne khun me naha chuke hai
safina apna duba chuke hai
khilo-falo tum ae ahl-e-manjil
hum apni manjil pe aa chuke hai
hai aakhiri ye salam apna hai aakhiri ye payam apna
jo jagta hai nahi samay par wo jiti bazi ko harta hai
mere himalay ke pasbano mere gulishta ke bagbano
utho ke sadio ki nind taj kar
tumhe watan fir pukarta hai
tumhe watan fir pukarta hai
mere himalay ke pasbano mere gulishta ke bagbano