Geet Mein Dhalte Lafzon Mein Lyrics | Udaan

                        
                        Geet mein dhalte lafzon mein
Taal pe chalti nabzon mein
Naya kuchh naya to zaroor hai
Shaam se leke sehron mein
Dhoop jadi duphero mein
Naya kuchh naya to zaroor hai

Kya baat hai jo baat hai taaza lagey
Zindagi ki nayi nayi faza lagey

Haan yeh umango se
Poora hua seena hai seena hai ..
Lamha yeh maanga nahi,
Isse humne cheena hai cheena hai ..
Yunhi jeena hai

Dhool jami thi aankhon mein
Khwab khile ab lakhon mein
Naya kuch naya to zaroor hai
Dard ki baatien kal ki hain
Aaj mein khushiyan chalki hain
Naya kuch naya to zaroor hai
Jebon mein hum raatein liye ghuma kare
Fursat ke yeh mauke sabhi jhuma kare


 
Haan yeh umango se
Poora hua seena hai seena hai ..
Lamha yeh maanga nahi,
Isse humne cheena hai cheena hai ..
Yunhi jeena hai

Andheri mein hai nayi garmiyan
Junoon sakht hai gayi narmiyan
Hai dilchasp yeh aag si aag si
Mitenge nahi yaad se yaad se

Geet mein dhalte lafzon mein
Taal pe chalti nabzon mein
Naya kuchh naya to zaroor hai
Shaam se leke sehron mein
Dhoop jadi duphero mein
Naya kuchh naya to zaroor hai

Kya baat hai jo baat hai taaza lagey
Zindagi ki nayi nayi faza lagey

Haan yeh umango se
Poora hua seena hai seena hai ..
Lamha yeh maanga nahi,
Isse humne cheena hai cheena hai ..
Yunhi jeena hai..