Hum Log Hai Aise Dewane Duniya Ko Jhuka Kar Maanenge Lyrics | Umang

                        
                        Hum log hai aise deewane
Duniya ko jhuka kar manenge
Hum log hai aise deewane
Duniya ko jhuka kar manenge

Manzil ki dhun mein aaye hai
Manzil ko pa kar manenge
Hum log hai aise deewane
Duniya ko jhuka kar manenge

Jo mang apni puri ho
Uss wakt tasli payenge
Aise to nahi talne wale
Hum bhuke hi mar jayenge
Iss dil mein hazaro mauje hai
Toofan utha kar manenge
Hum log hai aise deewane
Duniya ko jhuka kar manenge

Do din ki bahare hai jag mein
Kab julm kisi ka chalta hai
Ye julm ka suraj lakh jale
Par sham ko lekin dalta hai
Par sham ko lekin dalta hai
Nafrat ke shole dil mein hai
Hum unko bhuja kar manenge
Hum log hai aise deewane
Duniya ko jhuka kar manenge

Sachai ki khatir duniya mein
Gandhi ne bhi goli khaya hai
Hinsa chadaya suli par sacho
Ne jaan gavayi hai
Sacho ne jaan gawayi hai
Aa hum bhi kisi se kam nahi
Taqdir jaga kar manenge
Hum log hai aise deewane
Duniya ko jhuka kar manenge

Manzil ki dhun mein aaye hai
Manzil ko pa kar manenge
Hum log hai aise deewane
Duniya ko jhuka kar manenge.