Khumari chadh ke utar gayi
Zindagi yun hi gujar gayi
Khumari chadh ke utar gayi
Zindagi yun hi gujar gayi
Kabhi sote sote kabhi jaagte
Khwaabon ke pichhe yu hi bhaagte
Apni toh saari umar gayi,
Apni toh saari umar gayi
Khumari chadh ke utar gayi
Zindagi yun hi gujar gayi
Rangeen bahaaron ki khwaahish rahi
Haath magar kutch aaya nahi
Rangeen bahaaron ki khwaahish rahi
Haath magar kutch aaya nahi
Kehne ko apne the saathi kai
Saath kisine nibhaya nahi,
Saath kisine nibhaya nahi
Koi bhi hamsafar nahi kho gayi har dagar kahi
Kabhi sote sote kabhi jaagte
Khwaabon ke pichhe yu hi bhaagte
Apni toh saari umar gayi
Khwaabon ke pichhe yu hi bhaagte
Apni toh saari umar gayi
Khumari chadh ke utar gayi
Zindagi yun hi gujar gayi
Logon ko aksar dekha hai
Ghar ke liye rote hue
Logon ko aksar dekha hai
Ghar ke liye rote hue
Ham toh magar beghar hi
Rahe gharwalon ke hote hue
Ham toh magar beghar hi
Rahe gharwalon ke hote hue
Aaya apna nazar nahi,
Aaya apna nazar nahi
Apni jahaa tak nazar gayi
Kabhi sote sote kabhi jaagte
Khwaabon ke pichhe yu hi bhaagte
Apni toh saari umar gayi,
Apni toh saari umar gayi
Khumari chadh ke utar gayi
Zindagi yuhi gujar gayi
Pehle toh ham sun lete the
Shor mein bhi shehnaaiya
Pehle toh ham sun lete the
Shor mein bhi shehnaaiya
Ab toh hamko lagti hai
Bheed mein bhi tanhaaiya
Jeene ki hasrat kidhar gayi
Jeene ki hasrat kidhar gayi
Dil ki kali bikhar gayi
Kabhi sote sote kabhi jaagte
Khwaabon ke pichhe
Yu hi bhaagteapni toh saari umar gayi
Apni toh saari umar gayi
Khumari chadh ke utar gayi
Zindagi yun hi gujar gayi.