Mere Desh Ki Dharti Lyrics | Upkar

                        
                        Mere desh ki dharti
O mere desh ki dharti sona ugle
Ugle heere moti, mere desh ki dharti
Mere desh ki dharti
Mere desh ki dharti sona ugle
Ugle heere moti, mere desh ki dharti
Mere desh ki dharti

Bailo ke gale me jab ghungharu
Jeevan ka raag sunaate hai
Jeevan ka raag sunaate hai
Gam koso dur ho jata hai
Khushiyo ke kanval muskaate hai
Khushiyo ke kanval muskaate hai

Oo sun ke rahat ki aawaze
Sun ke rahat ki aawaze
Yun lage kahi shehnaai baje
Yun lage kahi shehnaai baje
Aate hi mast bahaaro ke
Dulhan ki tarah har khet saje
Dulhan ki tarah har khet saje

O mere desh ki dharti
O mere desh ki dharti sona ugle
Ugle heere moti, mere desh ki dharti
Mere desh ki dharti

Jab chalte hai is dharti pe hal
Mamta angadaaiyaan leti hai
Mamta angadaaiyaan leti hai
Kyun na puje is maati ko
Jo jivan ka sukh deti hai
Jo jivan ka sukh deti hai

Oo is dharati pe jisane janam liya
Is dharati pe jisane janam liya,
Usane hi paya pyaar tera
Usane hi paya pyaar tera
Yahan apana paraya koi nahi
Yahan apana paraya koi nahi
Hai sab pe maa upkaar tera
Hai sab pe maa upkaar tera
Mere desh ki dharti
Mere desh ki dharti sona ugale
Ugale heere moti, Mere desh ki dharti
Mere desh ki dharti

Yeh baag hai Gautam Nanak ka
Khilte hain aman ke phool yahan
Khilte hain aman ke phool yahan
Gandhi, Subhash
Gandhi, Subhash, Tagore, Tilak
Aise hain chaman ke phool yahan
Aise hain chaman ke phool yahan
Rang hara hari Singh Nalve se..
Rang laal hai Lal Bahadur se
Rang bana basanti Bhagat Singh
Rang bana basanti Bhagat Singh
Rang aman ka veer Jawahar se
Rang aman ka veer Jawahar se

Mere desh ki dharti
O mere desh ki dharti sona ugle
Ugle heere moti, mere desh ki dharti
Mere desh ki dharti

Mere desh ki dharti sona ugle
Ugle heere moti, mere desh ki dharti
Mere desh ki dharti
Mere desh ki dharti
Mere desh ki dharti