saiya bele ka phul mai chameli ki kali
saiya bele ka phul mai chameli ki kali
mujhe roke na koi unse milne chali
saiya bele ka phul mai chameli ki kali
saiya bele ka phul mai chameli ki kali
hue jab se jawan padi uljhan me jan
mera ghar se nikalna muskil hua
tikhi najro ke ban feke balma jawan
mera rashte pe chalna muskil ho gaya
saiya bele ka phul mai chameli ki kali
saiya bele ka phul mai chameli ki kali
ek din ki hai bat ke baharo ki rat
do jawa dil achanak takra gaye
unke albele nain lut kar dil ka chain
meri nas nas me shole bhadka gaye
hum ko milte jo dekha sari dunia jali
saiya bele ka phul mai chameli ki kali
saiya bele ka phul mai chameli ki kali
tauba tauba ye log ban gaye ji ka rog
pyar ke geet fir bhi gati hu mai
tujhse wada hai aaja nahi kahne me laz
apne saiya se milne jati hu mai
mere ghar se to dur nahi unki gali
saiya bele ka phul mai chameli ki kali
mujhe roke na koi unse milne chali
saiya bele ka phul mai chameli ki kali
saiya bele ka phul mai chameli ki kali