Chaand si surat mool si rangat
Lekar jab woh aayega
Nanni munni baaton se
Saara ghar mehkayega
Main waari jaaon
Main satke jaaon
Main waari jaaon
Satke jaaon waari jaaon
Aayega koi aayega aayega
Door gagan se chalke
Aayega koi aayega aayega
Door gagan se chalke
Zindagi ki dastan mein
Rang bharne ke liye
Dhadkano mein dhadkano se
Pyaar karne ke liye
Woh jo aayega to har pal jagmagaya
Aayega koi aayega aayega
Door gagan se chalke
Neend ke sapne khuli aankhon
Se ab dekhenge hum
Is mohabbat ke khilone se
Sada khelenge hum
Pehle bete tum ho woh to
Dusra hai jaane jaan
Hai dua yuhi hamesha
Muskuraye yeh jaan
Chaand suraj ban ke
Woh dharti sajayega
Aayega koi aayega aayega
Door gagan se chalke
Aayega koi aayega aayega
Door gagan se chalke
Zindagi ki dastan mein
Rang bharne ke liye
Dhadkano mein dhadkano se
Pyaar karne ke liye
Woh jo aayega to har pal jagmagaya
Aayega koi aayega aayega
Door gagan se chalke
Aayega koi aayega aayega koi aayega
Aayega koi aayega aayega koi aayega
Aayega koi aayega aayega koi aayega
Woh zameen ka chaand ban
Kar chandni felayega
Pyaar ban kar zindagi ki
Har khushi mehkayega
Woh sitaaron ko gagan se
Tod ke le aayega
Woh hasega to yeh aangan
Aasmaan ho jaaye ga
Maa ki lori ban pitaah ka
Khwaab gaayega
Aayega koi aayega aayega
Door gagan se chalke
Aayega koi aayega aayega
Door gagan se chalke
Zindagi ki dastan mein
Rang bharne ke liye
Dhadkano mein dhadkano se
Pyaar karne ke liye
Woh jo aayega to har pal jagmagaya
Aayega koi aayega aayega
Door gagan se chalke
Aayega koi aayega aayega
Door gagan se chalke
Aayega koi aayega aayega
Door gagan se chalke
Aayega koi aayega aayega
Door gagan se chalke.