Lehraati huwi raahein
Khole huwe hain baanhein
Ye ham aa gaye hain kaha
Palkon pe gehre halke hai
Reshmi dhundhalke ke
Ye ham aa gaye hain kaha
Aa… ye ham aa gaye hain kaha
Woh dekho zara
Parbaton pe ghataayein
Hamaari daastaan
Holle se sunaaye
Suno toh zara ye
Phoolon ki waadi
Hamaari hi koyi
Kahai hai sunaati
Sapnon ke is nagar mein
Yaadon ki rehguzar mein
Ye ham aa gaye hain kaha
Haan.. Ye ham aa gaye hain kaha
Jo raahon mein hai
Rut ne sona bikhera
Sunehra huwa
Tera mera savera
Zameen so gayi barf
Ki chaadaron mein
Bas ek aag si jalti
Hai do dilon mein
Hawaayein sansanaayein
Badan kaanp jaayein
Ye ham aa gaye hain kaha
Haan ye ham aa gaye hain kaha
Ye barsaat bhi kab
Thamein kaun jaane
Tumhein mil gaye
Pyaar ke sau bahaane
Sitaaron ki hai
Jaise baaraat aayi
Hamaare liye raat
Yun dagmagaayi
Sapne bhi jhilmilaayein
Dil mein diye jalaayein
Ye ham aa gaye hain kaha
Haan ye ham aa gaye hain kaha
Haan ye ham aa gaye hain kaha.