Hum Bhi Kash Kunware Hote Lyrics | Wanted

                        
                        Kahi mangni ki bate hai
Kahi shadi ka charcha hai
Magar andar hi andar se
Hamara dil ye kahta hai kya

Hum bhi kash kunware hote
Hum bhi kash kunware hote
Duniya bhar mein jitne hansi hai
Sabki nazar mein pyare hote
Hum bhi kash kunware hote
Hum bhi kash kunware hote

Hume bhi husn walo ki
Hajaro chithiya aati
Kai photo bhi aate
Sath unke arjiya
Koi likhta mere pyare
Mujhe tumse mohabbat hai
Koi likhta mujhe tum
Jaise sohar ki jarurat hai

Koi likhta ke meri
Mad bhari aankhe anshili hai
Koi likhta ke zulfe meri
Paune tin gaj ki hai
Koi afsana likhta aashiq
Ki pahli manjil ka
To koi bhejta kagaj par
Duniya bhar mein jitne hansi hai
Sabki nazar mein pyare hote
Hum bhi kash kunware hote
Hum bhi kash kunware hote
Naksha khench kar dil ka
Garaj ke


 
Kaisi kaisi bahare aati
Kaise kaise nazare hote
Hum bhi kash kunware hote
Hum bhi kash kunware hote

Hui hai jabse shadi pad gaye
Hai hum to mushkil me
Akhe kis se tadapti hai
Hajaro hasrate dil mein
Mohabbat ka koi nagma
Zuba par la nahi sakte
Kisi rangin mehfil mein
Akele ja nahi sakte

Kisi ke husn ki tarif bhi
Hum kar nahi sakte
Kisi dil phenk shayar ki gajal
Bhi hum padh nahi sakte
Kisi ko aankh uthakar dekhna bhi
Ab kayamat hai
Khabar ho jaye biwi ko
To phir samjho hajamat hai

Ghar mein na hoti biwi to yaro
Hum bhi kahi dil hare hote
Hum bhi kash kunware hote
Hum bhi kash kunware hote.