Maine bhi husn ki nazro mein
Jagah payi hai
Tum mile ho to mohabbat se
Bahar aayi hai
Mere sine pe zara hath to
Rakh kar dekho
Dil ki dhadakan ye nahi
Pyar ki shahnai hai
Ye hasi rup ye zulfon ke
Nashile saye
Jaise bhar pur kayamat pe
Shabab aa jaye
Ye hasi rup ye zulfon ke
Nashile saye
Jaise bhar pur kayamat pe
Shabab aa jaye
Rukh se parde ko zara der
Hata rahne do
Tum ko dekhega wahi
Jis ki qaza aayi hai
Rukh se parde ko zara der
Hata rahne do
Tum ko dekhega wahi
Jis ki qaza aayi hai
Mere sine pe zara hath to
Rakh kar dekho
Dil ki dhadakan ye nahi
Pyar ki shahnai hai
Dil to kya jan bhi main tum pe
Luta sakta hu
Zindagi maut ke parde mein
Chhupa sakta hu
Mujhe gam do ki khushi
Ab hai tumhari marzi
Maine to ishq me mitne ki
Qasam khayi hai
Mere sine pe zara hath to
Rakh kar dekho
Dil ki dhadakan ye nahi
Pyar ki shahnai hai
Ishq ki rah me sahil bhi hai
Tufan bhi hai
Is me izzat bhi hai rusawai ke
Saman bhi hai
Ishq ki rah me sahil bhi hai
Tufan bhi hai
Is me izzat bhi hai rusawai ke
Saman bhi hai
Meri jan duniya ke dar se
Na badal jana tu
Kyonki ab mil ke na milne
Mein bhi rusawai hai
Meri jan duniya ke dar se
Na badal jana tu
Kyonki ab mil ke na
Milne mein bhi rusawai hai
Maine bhi husn ki nazro mein
Jagah payi hai.