jo hamne daasta apni sunaayi, aap kyo roye
jo hamne daasta apni sunaayi, aap kyo roye
tabahi to hamare dil pe aayi, aap kyo roye
hamara dard-e-gam hai ye, ise kyo aap sahte hai
ye kyo aansu hamare, aap ki aankho se bahte hai
gamo ki aag hamne khud lagaayi, aap kyo roye
jo hamne daasta apni sunaayi, aap kyo roye
bahut roye magar ab aapki khaatir na royege
na apna chain khokar aapka ham chain khoyege
kayamat aapke ashko ne dhaayi, aap kyo roye
jo hamne daasta apni sunaayi, aap kyo roye
na ye aansu ruke to dekhiye, ham bhi ro dege
ham apne aansuo me chaand taaro ko dubo dege
fana ho jaayegi saari khudayi, aap kyo roye
jo hamne daasta apni sunaayi, aap kyo roye