mere yar aye ho apne watan se
mere yar aye ho apne watan se
ke ati hai mitti ki khusbu badan se
mere yar aye ho apne watan se
ke ati hai mitti ki khusbu badan se
ke ati hai mitti ki khusbu badan se
waha chand ab bhi niklata to hoga
waha chand ab bhi niklata to hoga
meri maa ke chehre se jalta to hoga
meri maa meri yado me khoyi khoyi
bana ke duao ka tabij koi
lifafe me rakhke bhut royi hogi
wasu se meri yad phir dhoyi hogi
magar phir bhi yade kaha ruk saki hai
namajo me ankho se bahne lagi hai
mere yar aye ho apne watan se
ke ati hai mitti ki khusbu badan se
ke ati hai mitti ki khusbu badan se
bahan meri sardi ke mosam me ab bhi
bahan meri sardi ke mosam me ab bhi
mere vaste un bunti to hogi
koi tana dega kaha tera bhaiya
to phir usse jhagadti to hogi
meri rat ayegi to subakane lagegi
wo sone ki kosis me jagne lagegi
tadapkar ekaak uthegi palang se
chale aao bhaiya wo chithi likhegi
mere yar aye ho apne watan se
ke ati hai mitti ki khusbu badan se
ke ati hai mitti ki khusbu badan se
sunata hu ab sitangar ka kissa
ke jisne banaya mujhe dil ka hissa
wo khwabo me apne mujhe roj lake
kabhi ruthti or manti to hogi
kabhi bekhwali me sajti to hogi
andhere me sawan ki biji se darkar
bhut der tak meri yado ki khusbu
nigaho se uski barsati to hogi
nigaho se uski barsati to hogi
mere yar aye ho apne watan se
mere yar aye ho apne watan se
ke ati hai mitti ki khusbu badan se
ke ati hai mitti ki khusbu badan se