Jab chot kabhi mere lag jaati thi
To aankh teri bhi to bhar aati thi
Maa o maa
Jab chot kabhi mere lag jaati thi
To aankh teri bhi to bhar aati thi
Ek chhoti si phoonk se teri
Sabhi dard mere hote the ghum
Aaj bhi koi chot lage to
Yaad aati ho yaad aati ho
Aaj bhi meri aankh bhare to
Yaad aati ho yaad aati ho tum
Maa meri maa meri maa
O maa meri maa meri maa maa
Teri baaton mein apni har ik main
Uljhan ka hall pa leta tha
Tere hathon ki roti aksar hi
Bhookh se zyaada kha leta tha
Teri baaton mein apni har ik main
Uljhan ka hall pa leta tha
Tere hathon ki roti aksar hi
Bhookh se zyaada kha leta tha
Tera hissa main tera kissa main
Jo sabko sunaati ho tum
Aaj bhi teri baat chale to
Yaad aati ho yaad aati ho tum
Aaj bhi meri aankh bhare to
Yaad aati ho yaad aati ho tum
Meri maa meri maa
Maa meri maa meri maa maa
Kone ko thaame tere aanchal ke
Be-fikra main so jaata tha
Mere dil mein kya hai tere bina maa
Koi samjha hi naa pata tha
Jo ho sang tu na to ho jag suna
Pyar itna jataati ho tum
Aaj bhi koi saaz lage to
Yaad aati ho yaad aati ho tum
Aaj bhi meri aankh bhare to
Yaad aati ho yaad aati ho tum
Maa o meri maa meri maa
Meri maa meri maa meri maa