aaj meri zindagi dekho khushi me jhumti
jane chali kaha, jane chali kaha
aaj ye meri zindagi dekho khushi me jhumti
jane chali kaha, jane chali kaha
tanah nahi chali hu mai dil bhi hai mera humsafar
gujri to hu idhar se mai phir bhi nayi hai rahgujar

zaro me bhi hai roshni leke tu mujhko aa gayi
aye zindagi kaha, aye zindagi kaha
aaj ye meri zindagi dekho khushi me jhumti
jane chali kaha, jane chali kaha
mujhko bula raha hai kyu dekho vo koi dur se
badhne lage mere kadam jiski taraf gurur se

dil me bhi hai surur sa, aankho me bhi hai nur sa
shama jali kaha, shama jali kaha
aaj meri zindagi dekho khushi me jhumti
jane chali kaha, jane chali kaha
raho me meri phul hai taare meri nigah me
ab na mujhe pukarna dub chali hu chaah me

apna nahi hai kuch pata aye meri bekhudi bata
tu le chali kaha, tu le chali kaha
aaj ye meri zindagi dekho khushi me jhumti
jane chali kaha, jane chali kaha.