jane jana pas aao aao na kya kaha soch lo
ye hawaye kya kahegi ye nazare kya kahege
do jawan dil magar dur dur
jal rahe hai apni apni aag me aao na
hawao ko dekho nazaaro ko dekho
jo mujhse hai badhke hansi
mera husn to hai nigaho ka dhokha
ye dhokha na khana kabhi
jaan-e-bahaar jaan-e-jigar raks ki in
chancahl lehro me
kyu na hum dono bah jaye
chillane do in saaso ko
hum chupke se kuch kah jaye
aur jara jo paas aa jao
ghulti milti in sanso
ki khushbu jivan jyot banegi
preet hasengi hai na
ye sanso ki khushbu ye bato ka jadu
ye sajish hai halaat ki
ye nagmo ki barish ye sazo ki halchal
hai bas ek hi raat ki
ye khamoshi ye aadhi raat
chand ki aankhe ojhal ojhal
aise me kyu na hum dono chalte jaye badhte jaye
aur jaha aakash zami se mil jaye
dam tod de hum dono, subha swere koi farishta
sehar ko aaye dekhe do thandi lasho ko
aur shabnam ke katre chunkar
unko ek kafan pehna de
mera is safar me ye pehla kadam hai
chalungi jidhar le chalo
na raaho se vaakif na malum manjil
mai hu bekhabar le chalo
mai hu bekhabar le chalo
mai hu bekhabar le chalo.