Khile Na Kagaz Ka Kabhi Phool
Burai Banti Ud Kar Dhul
Fiza Me Phool Khilana Hai
Ke Jiwan Ko Mahkana Hai
Khile Na Kagaz Ka Kabhi Phool
So Bato Ki Ek Bat Hai
Bat Suno Re Bhaiya
Sach Ka Beda Par Lage Hai
Jhuth Ki Dube Naiya
Jo Hai Sacha Ek Insan
Hai Uski Muthi Me Bhagwan
Ke Man Ko Ye Samjhana Hai
Dukho Me Bhi Muskana Hai
Khile Na Kagaz Ka Kabhi Phool
Tute Tare Apne Piche
Jaye Chod Lakire
Mitte Mitte Ban Jati Hai
Mehnat Se Takdire
Leke Suraj Apne Sath
Chand Ke Hath Me Lekar Hath
Andhera Dur Hatana Hai
Sawera Dhund Ke Lana Hai
Khile Na Kagaz Ka Kabhi Phool
Burai Banti Ud Kar Dhul
Fiza Me Phool Khilana Hai
Ke Jiwan Ko Mahkana Hai
Khile Na Kagaz Ka Kabhi Phool.